Sunday, June 20, 2010

Arziyaa'n

Band muthiyo mai liye kismat apni aur kuch arzia …
mai aazan ka intzar karti rahi..
Dua karate gala sookh gaya hai kuch is tarha ki ab bas sunne jane ki aas hai…
ankhe tiki hai ghadi per..
vo waqt aaye ga..
Mann hawaye tatol raha hai aavazo k liye..
per sab banjar hai..
Jo na keh saki uuse…..
vo Duao mai padu gi..
Har arzee bar bar janch li hai…
har darkhwast theek se paad li hai
Na jane kaisa desh hai..
yaha salo se subah hoti hai raat bhi …
per aazan nahi hoti
Phir bhi mai Band muthiyo mai liye kismat apni aur kuch arzia …
aazan ka intzar karti rahi..

1 comment:

  1. Its wornderful.......but ye ek Novel k andaaz men likha gaya hai naa.......jo ek Novel Nigaar (Novel Writer) apne kahani k kisi manzar ko samjhane ke koshish karraha ho

    Am i right ??

    ReplyDelete