Sunday, June 27, 2010

Safar

meelo safar –be libaz hoker te kiya
her nazar k sawal – be abroo ho ker boojhe hai
haath thame chali hu mai khud apna –
aur khud ki nazro mai apne aap ko gira hua dekha-
belibaz tan to zahir hai sabhi k deedo ko – per zar libaz aankhe kisi ko kaha dikhti hai
kahi to aashqui ibadat hai – kahi ibadat ko kassa liye khada dekha
keh du is zara se aaj mai - ki is zindagi mai tujse bhi garm --saya maine dekha .
meelo safar belibaz ho kar te kiya
her nazar k sawal – be abroo ho ker boojhe hai

Bazaar

bheed si chalti rehti hai agal bagal ...

jaise mujhme koi bazar saja ho...

mol se bikata hai yaha sab...

jaise khabo ka bhi dam laga ho..

dubak k kisi kone mai...

ankho se dhake aasu ki tarha...

ek choti si dua jagi hai...

khoj sake to khoj le mujhe vo jo mera malik hai

Zindagi

roz zindagi se chand pal chura k bhagti hu mai...
phir saabki nazro se bachtae hue ..
mundair per baith kar...
dheere se band muthi khol kar dekhti hu ki aaj haath kya laga ...
pata hai...
muthi kholtae hi..
jugnu sa kuch haath se uud jata hai...
shayad waqt...
haath ki in lakiro mai reh jati hai rakh ..
kuch khawbo k jalne k daag aur ek aas ...
zindagi se phir kuch churane ki...
kal phir apni zindagi se milu gi apne saamne wali seat per ...
band lafzo mai khule dil se..
Phir zindagi se milu gi...
apne samne wali seat per...

Sunday, June 20, 2010

Arziyaa'n

Band muthiyo mai liye kismat apni aur kuch arzia …
mai aazan ka intzar karti rahi..
Dua karate gala sookh gaya hai kuch is tarha ki ab bas sunne jane ki aas hai…
ankhe tiki hai ghadi per..
vo waqt aaye ga..
Mann hawaye tatol raha hai aavazo k liye..
per sab banjar hai..
Jo na keh saki uuse…..
vo Duao mai padu gi..
Har arzee bar bar janch li hai…
har darkhwast theek se paad li hai
Na jane kaisa desh hai..
yaha salo se subah hoti hai raat bhi …
per aazan nahi hoti
Phir bhi mai Band muthiyo mai liye kismat apni aur kuch arzia …
aazan ka intzar karti rahi..